Why is NFT Art So Ugly - Is Nft Art Real Art

Nft art ugly kyu hoti hai ye jaane se pehlay agar apko nft ke baray me kuch bhi knowledge nahi hai to pehlay apke lie ye jaana zaruri hai ke nft ki full form kia hai, iska matlab kia hai aur nft market place inti trending per kyu ja rahi hai.


Nft ke baray me menay aik article likha hai jisme menay NFT ki complete datails batai hain to aapke lie bohat helpful rahaingi to aap uss article ko nechay link per click karke parh sakte hain.


Why is NFT Art So Ugly




Abhi ke time per nft market trending per hai jiska main reason hai nfts ki high price me selling jo bohat saray logo ko nft market place ki taraf attract karrhi hai paisa kamane ke lie.


Like recently aik painting jisme aik white colour kay monkey ne aik cap aur gold chain pehni hui hai. Ye painting approximately $450000 me sell hui hai.


First impressions me dekhne par ye painting apko bilkul fazul lagegi aur iske expensive honay ki bhi koi waja nazar nahi ati.


But ye painting famous thi aur iske ownership rights hasil karne ke lie rapper ne iss painting ko buy kia. Nft market me sari arts ugly nahi hain balkay bohat arts aisi bhi hain jo bohat hi professional tariqay design ki gayi hain.


Nft market bilkul aise hi hai jaise purane zamane ke log kisi bhi rare cheez ko buy karne ke lie boliyan lagatay thay. Jo sab se ziada paise offer karayga wohi cheez ko buy karsakay ga.


Nft market place me aise hi bohat sari ugly paintings hain jo nft market me bohat high prices me sell horahi hain.


Apko aisi unique or fazul cheezain bhi high price me sell hoti hui miljaeingi jinki koi value bhi nai hai but jinko unique art buy karne ka shooq hai to wo uske lie million of dollars bhi denay ke lie tayyar hojatay hain.


Is Nft Art Real Art?


No Nft art reality me hand made nahi hoti balke ye computerized art hoti hai jiski copies to banai ja sakti hain lekin original art sirf aik hi hoti hai.


Yahi reason hai ke agar kisi ki banai hui nft art popular hojaye to us art ke lovers millions of dollars pay karne ke lie bhi ready hojatay hain aur aise hi wo ugly dikhne wali art high prices me sell hojati hai.


Nft art aik digital art hoti hai ye kisi bhi image form jpg, png, jpeg aur webp me hosakti hai aur iske ilawa video ki form me bhi. Koi bhi video jisme koi rare moment ho wo as an nft sell hosakti hai.


Like koi football clip ya cricket clip jisme koi interesting scene ho, agar uski demand bohat ziada hai to wo clip as an nft high price me sell hosakti hai.


Video duration 1 minute ki bhi hosakti hai aur 5 se 10 seconds ki bhi hosakti hai bas agar video me kuch special hai aur uss video ke rights apke paas hain to aap uss video ko nft me convert karke easily high price me sell karsaktay hain.



Post a Comment

0 Comments