What is NFT?
Doston nft ki full form hai (Non Fungible Token). Nft ka matlab hai koi bhi aisi cheez jiski koi bhi copy nahi bana sakta ya koi bhi aisi cheez jo puri dunya me sirf aik hi maujood hai.
Nft kuch bhi hosakti hai like koi painting, koi food recipe, koi rare video aur bohat sari cheezain jo logo ke lie important hosakti hain.
Nfts bohat saray type ke hosaktay hain. Ye hain Nfts ki kuch examples:
1: Painting
Koi old painting jisko sirf live dekh kar hi banaya ja sakta hai or uski copy bhi koi nahi karsakta. Aisi paintings bohat high prices ms sell hosakti hain. Recently monalisa painting nft bohat hi ziada expensive sold hui hai.
2: First Tweet On Twitter
Jack Dorsey twitter ke owner hai, unhone recently apni first tweet on twitter as an Nft $2.9 million me sell ki hai. Iss sell ke baad se hi nft market me boost aya hai aur bohat saray log apni nfts bana kar sall karrahay hain.
3: Rare Sports Video
Agar kisi ke paas sports ki koi rare moment mobile phone me save hai to wo usko nft me convert karke bohat hi ziada price me sell karsakta hai. Video duration agar 10s ki bhi hai to bhi millions me sell ho sakti hai. Depend karta hai video ki rarity per.
4: Domain Name
Domain name bhi as an nft sell hosakta hai. Like koi aisa domain name jo kisi bari industry ha celebrity ke name per ho to wo bohat hi ziada high price me sell hosakta hai.
5: Food Recipe
Kisi food ki recipe bhi as an nft sell hosakti hai. Price depend karti hai uski value per, like agar koi food recipe bohat hi ziada tasty hai aur uske baray me koi bhi nahi jaanta to wo recipe as an nft bohat high price me sell hosakti hai.
Why You Should Create an NFT?
Nft marke place abhi aik trending market place ban chuki hai. Aur log apni nfts millions of dollars me sell karrahay hain.
Bohat saray log abhi tak sahi tarha nahi samagh paye hain ke what is nft? Agar aap bhi detail me nfts ko understand karna chahte hain to menay aik article likha hai aap usko read karsaktay hain.
3 Reasons Why You Should Create and Sell NFT
No 1 Huge Amount of Money
Agar aap ke paas bhi koi bohat ziada rare nft hai to aap usko sell karke bohat high amount of money earn karsaktay hain.
Like recently twitter ke owner ne apni first tweet as an nft $2.9 million me sell ki hai. Aise hi bohat sari chezain log sell karrahay hain nft me convert karke.
No 2 Popularity
Agar aap aik nft banatay hain aur wo expensive sold hojati hai to aap rich bhi hojaeingay aur popular bhi.
Like recently aik meme sold hui hai approximately $50k ki jiska naam tha (friendship ended with mudassir).
So ab ye boys rich honay ke sath hi popular bhi hogaye hain to agar aap bhi aisi nft bana sakte hain to jaldi se banaye aur sell karke popular hojaein.
No 3 Easy To Create If Available
Doston aap apne father ki ya apne grand father ki pictures me se koi rare thing find karain. Hopefully apko kuch na kuch to mil hi jaega.
Because mostly old things as an nft ziada expensive sell hoti hain.
0 Comments