Doston Nft world past kuch years me bohat sari countries me already popular thi but now in 2021 nfts ka trend Pakistan aur bohat sari countries me aagaya hai jo mostly talented artists ke lie bohat achi baat hai.
Nft market day by day expand ho rahi hai yahi waja hai ke log nft market me invest karne ke baray me soch rahay hain. Nft world ko chalane ke pechay bohat saray professional artists ka hath hai aur aap soch bhi nahi sakte ke log unique nft arts ko buy karne ke lie kitna paisa denay ko tayyar bethay hain.
But Pakistan me still bohat saray professional artists maujood hain jinko nft world ke baray me pata hi nahi hai. Aur unki paintings kitni expensive hosakti hain agar wo ye jaan lain to foran apni art ko nft me convert karke market me list kardain gay.
So Pakistan me jitne bhi achay artists hain unke paas ye aik golden opportunity hai apni art ko Nft world me spread karke sell karne ka lekin artists ko pehlay apni art ko nfts me convert karna hoga.
How To Sell Nft Art?
Kisi bhi art ko Nft me convert karne ke lie ya kisi Nft ko buy karne ke lie sab se pehlay apko aik platform chunna hoga aur uske baray me sari malumaat hasil karni hogi.
Abhi ke time pe aisi bohat sari websites hain jahan aap apni nfts buy ya sell karsaktay hain lekin yaha apko me 3 best websites bataounga jaha aap apni nfts buy ya sell karsaktay hain.
So, agar aap apni nft sell karna chahtay hain to aap inn 3 platforms ko use karsakte hain:
- Opensea
- Rareible
- Superrare
Agar aap koi artist nahi hain ya apne nft ke baray me pehli baar suna hai to aap ke lie NFT market ki details jaana bohat zaruri hai kyuke ye market trending per hai aur apke paas agar koi special nft hai to aap usko sell karke millions of dollars earn karsaktay hain.
Can You Buy Nft With Cash?
The answer is no, agar apko nft buy ya sell karni hai to sabse pehlay apko aik wallet create karna hoga. Aisa iss liye karna hoga kyuke NFT (Non-Fungible Tokens) block chain based hotay hain.
Apko aik wallet banana parta hai aur usme crypto currency daalni hoti hai kyuke crypto currency se hi aap nft buy karsakay hain aur agar aap apni nft art sell karaingay to apko payment bhi crypto currency me hi receive karni hogi.
Most common crypto currency jo aaj ke time pe NFT world me use hoti hai wo hai Ethereum. Experts ke mutabiq apko metamask wallet extension use karni chahie, meta mask extension ko aapne apne browser me add karna hota hai, aap isko kisi bhi browser me add karaktay hain because ye har browser ke lie available hai.
Ye extension apko Nft market place se connect rehne me bohat help karti hai aur agar aap iss extension ko aapne browser me add kartay hain to aap NFT se related services ko bhi directly apne browser se use karsakaingay.
0 Comments