Importance of Gyroscope In PUBG Mobile
Pubg mobile aik bohat hi popular game banta ja raha hai day by day. Jiske bohat saray reasons hain.
Iss game ki popularity ki sab se bari waja ye hai ke pubg mobile me players different ways me online players se fight karsaktay hain.
Aur ab to pubg mobile ki new updates me new maps and modes bhi add hogaye hain jo iss game ko aur bhi attractive bana rahay hain.
Yahi kuch main reasons hain jo pubg mobile ke players ko dair tak game khelnay per majboor kardetay hain.
So players jab fight kartay hain to obviously wohi player fight win karta hai to better khelta hai.
Mostly players ye maante hain ke jo players gyroscope open karke kheltay hain unki movement non gyroscope players se ziada fast hoti hai.
To yahi reason hai ke jab players training ground me practice karke kisi gyroscope walay player ke sath room me 1 v 1 fight karte hain aur usko beat nahi kar patay to phir unke mind me bhi yahi baat hoti hai ke mera enemy gyroscope ki waja se jeet gaya.
Bohat practice ke baad bhi jab wo gyroscope walay players ko beat nahi kar patay to phir wo bhi gyroscope pe shift karne ka sochte hain.
To yaha me apko pubg mobile me gyroscope se practice karne ki kuch important tips denay wala hu jo apke gameplay ko bohat ziada improve karsakti hain
Tip # 1 Phone With Hardware Gyroscope
Sabse pehli cheez jo apko dekhni hai wo ye hai ke apke phone me hardware wala gyroscope sensor maujood hona chahie.
Aaj ke time pe mostly companies high end phone me hi hardware wala gyroscope sensor lagati hain.
Jabke jo low end phones hotay hain unme companies software wala gyroscope sensor lagati hain jo properly work nahi karta aur gyroscope delay chalta.
Gyroscope delay ko check karne ke lie aap YouTube per jaein aur 360 video type karke search karain. Koi bhi video open karain aur apne phone ko right or left tilt karain.
Agar apke phone ki screen apke phone ko tilt karne ke sath perfectly move horhi hai to apke phone me hardware wala gyroscope sensor maujood hai.
Lekin agar apko thora sa bhi delay feel ho to apke phone me software wala gyroscope sensor hai. So agar apke phone me software wala gyroscope sensor hai to me apko recommend karunga ke aap without gyroscope hi khelain.
Tip # 2 Find Best Sensitivity
Agar apke paas aik perfect gyroscope sensor wala phone hai to sabse pehlay apko apne lie aik sensitivity find karni hogi.
As an example agar apko apne red dot ki sensitivity find karni hai to red dot se spray karain aur sensitivity change karke dekhain ke konsi sensitivity pe apka spray perfect horaha hai.
Jis bhi sensitivity per aap easily spray kar parahay hain usi ko choose karke save karlain aur roz practice karain.
Aise hi saray scopes ki sensitivity one by one find karain aur phir training ground me practice karain.
Hardly 1 week me apka gyroscope ke sath gameplay better hojaega.
Tip # 3 Play Tdm For Practice
Training ground me practice karne ke baad apko enemy per aim better karne ke lie tdm matches khelne hongay because training ground me apko fixed targets miltay hain jabke tdm matches me aap real players ke sath fight karke apna gameplay better karsaktay hain.
Tdm me aap sirf enemy ke head per aim fix karne per focus karain aur apni movement ko increase karne ki koshish karain.
Iske ilawa apna aim assist off karkay tdm matches khelain takay apka aim aur bhi ziada accurate hojae.
Per day 20 minutes training ground me practice karain aur 5 tdm matches aim assist off karke khelain believe me after one month aap bhi aik professional pubg mobile player ban jaeingay.
0 Comments