NFT wallets digital wallets hotay hain jinki madad se aap NFT's ko aur cryptocurrencies ko aik hi jaga par rakh sakte hain. Recent days me NFT's ki barhti purchasing ki waja se NFT wallets me bohat sari developments hui hain NFT arts ko store karne ke lie.
Bohat saray NFT wallets aise bhi hotay hain jo sari crypto currencies ko support nahi kartay. So make sure ke jis crypto currency se aap NFT buy karaingay apka NFT wallet usko support karta ho. Jaise Etherium sab se popular crypto currency hai NFT world me so most of the wallets Etherium ko support kartay hain.
Yaha humne apke lie 5 best NFT wallets collect kiey hain jinme se aap jo bhi chahain use karsaktay hain.
4 Best NFT Wallets
Ye hain top 5 NFT wallets.
1. Metamask
Metamask abhi tak ka sab se popular cryptocurrency wallet hai. Ye aik browser extension hai jo almost saray browsers me available hai. Meta mask ke browser extension ki madad se aap easily web 3 sites ko access karsaktay hain kuch hi click me like NFT market places.
Agar aap metamask ko use kartay hain to aap multiple addresses bhi set up karsaktay hain jiski madad se aap apni NFT's ko cryptocurrencies se different address per hold karsaktay hain. Aur iske ilawa aap har NFT ke lie seperate adresses bhi bana saktay hain.
2. Math Wallet
Math wallet meta mask ka aik behtareen alternative hai. Iss ki sab se khaas baat ye hai ke ye 70 se ziada block chains ko support karta hai to isko baqi NFT wallets se alag bana deti hai. Iske 3 versions available hai web, desktop and mobile version.
Math wallet me aik dApp browser banaya gaya hai jiski madad se users NFT market places ko dekh saktay hain.
3. Alpha Wallet
Alpha wallet aik open source cryptocurrency wallet hai. Lekin isme kuch limitations hain, iska sirf mobile version hai aur ye etherium ko support karta hai. Iski support block chain games ke lie aur NFTs ke lie isko numayan karti hain.
Iska interface bilkul simple hai jiski waja se beginners ke lie isko use karna bohat easy rehta hai. Alpha wallet me aik bilkul alag section hai NFTs ke aur gaming tokens ke lie. Alpha wallet me users meta tags bhi use karsaktay hain jiski waja se wo apni different collections ko search and filter karke find karsaktay hain
4. Trust Wallet
Trust wallet bhi aik popular mobile-only wallet hai jisko binance own karti hai. Jabke ye bohat sari block chains ko support karta like ertherium.
Dusray wallets ki tarha trust wallet trust wallet me bhi dApp browser available hai jiski madad se users NFT market places view karsaktay hain. Jiski waja se NFT's ko buy karna aur bhi asaan hojata hai wallet ke andar hi.
To doston ye thay 4 best NFT wallets jo aap use karsakte hain.
0 Comments