Agar aap bhi meri tarha slow laptop ya PC se pareshan hogaye hain aur aap bhi chahte hain ke apka slow laptop ya slow PC speed up hojaye to aap bilkul sahi jaga per aye hain.
Doston jab bhi aap koi naya Laptop ya PC buy karte hain. Starting me to wo apni specifications ke hisaab se bilkul perfectly work karta hai. Lekin jab aap log usse use kartay hain to day by day uski performance low hoti jati hai.
Performance low hone ke bohat saray factors ho sakte hain lekin yaha me un factors ke baray me nahi balkay performance ko increase karne ke baray me baat karunga.
Lekin usse pehlay me aap ko 2 tips deraha hu ke apni hard disk ko 75% se ziada fill na karain takay apke laptop ke paas processing karne ke lie space baqi rahay. Ye karne se apke laptop ya PC me definately change ayega.
Dusri baat ye ke jab bhi aap laptop use karain to iss baat ka dhiyan rakhain ke aik sath ziada applications use na karain sirf utni hi use karain jitni RAM capacity apke laptop me hai.
Ye check karne ke lie nechay task bar me right click karain aur task manager ko open karte hi top per apke saamne performance ka option hoga uspe click karain. Waha apko live memory usage aur many different system operations nazar aajaeingi.
How to Speed Up Laptop/PC in Two Steps
Step # 1
Sabse pehlay windows ke search bar me jakar control panel ko find karke open karain.
Control panel open hone ke baad top right me aik search bar hoga waha per Power Option type karke search karain then open karain.
Power Option ko open karne ke baad apke saamne 3 options show horahay hongay jaise nechay pic me show ho rahay hain
Yaha per High Performance walay option ko select karlain. High Performace ko select karte hi apke laptop ki performace better hojayegi.
Step # 2
Iss step me hum unnecessary files ko delete karaingay 3 steps me jo apke laptop ya PC me save hojati hain.
1) To iske lie windows ke search bar me jakar run type karain aur enter press kardain.
Run type karte hi apke saamne aik aisa pop up open hoga.
Yaha per ( Temp ) type karke OK press kardain. OK press karte hi apke saamne aik folder open hoga.
Folder open hotay hi CTRL+A press karain then CTRL+D press kardain. Ye karte hi folder empty hojaye ga.
2 )Iske baad again windows ke search bar me jakar run type karain aur enter press kardain.
Enter press karte hi apke saamne aik pop up open hoga waha per ( %Temp% ) type karain aur OK press kardain.
OK press karte hi apke saamne aik folder open hoga. Folder open hotay hi CTRL+A press karain then CTRL+D press kardain. Ye karte hi folder empty hojaye ga.
3) Iske baad again windows ke search bar me jakar run type karain aur enter press kardain.
Run type karte hi apke saamne aik pop up open hoga waha per ( Prefetch ) type karain aur OK press kardain.
OK press karte hi apke saamne aik folder open hoga. Folder open hotay hi CTRL+A press karain then CTRL+D press kardain. Ye karte hi folder empty hojaye ga.
Inn steps ko apne Laptop me apply karne se apka PC/Laptop definately fast perform karayga. But agar still aap ko lagta hai ke apko aur fast PC chahie to iske lie apko apna pc upgrade karna hoga.
Apni need ke hisaab se RAM increase karwa lain aur apni memory ke hisaab se aik SSD buy karke apne laptop me lagalain. Ye 2 kaam karne se na sirf apka laptop teez hojayega balkay aap apne laptop me heavy games bhi khel sakain gay like Pubg Mobile.
In the end me ye kehna chahta hu ke aap meray batae gaye steps ko follow karaingay Laptop/PC ki performace 100% increase hogi.
0 Comments