What is Facebook and Why is Facebook Most Popular Social Media App?
Doston Facebook ajj ke time ka sab se ziada use honay wala social media platform hai.Currently Facebook app ke downloads 5 billion se bhi ziada hain.
Facebook me aap apni videos and pictures upload karsaktay hain aur apne friends ke sath share kar sakte hain.
Iske ilawa aap apna aik fan page bhi create karsaktay hain jispe aap apni interesting ya skill ful videos upload karke bohat hi jaldi popular ho sakte hain.
Facebook per aap isi liye jaldi popular ho sakte hain kyuke iske users other social media platforms se kahi ziada hain.
Iske ilawa bohat saray log Facebook groups per marketing karke apna business bhi run kartay hain.
Facebook per aap kisi bhi type ka business karsaktay hain like cars ki buy amd selling, clothes and properties ka business bhi.
To dosto ye thay kuch reasons jo Facebook ko aaj ke time pe sabse ziada use honay wala social media platform banatay hain.
To agar aap bhi apna aik Facebook account create karna chahtay hain to aap iss article ki madad se easily apna Facebook account create karsaktay hain.
Can We Make Our Facebook Profile Private?
Doston aap jab apna new Facebook account banatay hain to apki Facebook profile automatically public hoti hai jiska matlab hai ke koi bhi apki Facebook profile ko dekh sakta hai.
Lekin bohat se Facebook users chahtay hain ke jo videos and pictures wo apni Facebook profile per upload karrahay hain un pictures and videos ko sirf unke friends hi dekh sakain.
To doston kisi bhi Facebook profile ko lock ya unlock karna 100% possible hai aur me apko step by step guide karunga ke aap apni Facebook profile ko lock ya unlock kaise karsaktay hain.
How To Private/Lock Facebook Profile
Apni profile ko lock karne ke lie sab se pehlay Facebook app ko open karain.
Uske baad apni profile ko open karain.
Profile open karne ke baad apko right me 3 dots ka button show horaha hoga.
3 dots walay button per click kartay hi apke saamne aik aisa page open hoga.
Yaha apko lock profile ka option nazar aaraha hoga iss per click kartay hi apke saamne aik new page open hojaega.
Iss page per nechay apko lock your profile ka option nazar aaraha hoga uss per click kardain.
Lock your profile ke button per click karte hi apki Facebook profile lock hojaegi aur ab apki Facebook profile koi bhi nahi dekh sakayga.
How To Unlock Facebook Profile
Similarly agar apko apni Facebook profile unlock karni hai to uske lie aap apne Facebook ki aap ko open karain.
Then apni Facebook profile open karain.
Yaha apko 3 dots ka button nazar aaraha hoga usper click kartay hi apke saamne aik new page open hojaega.
Yaha apko Unlock profile ka option show horaha hoga iss per click kardain.
Unlock profile per click karte hi apki Facebook profile unlock hojaegi aur koi bhi apki Facebook profile dekh sakayga.
To doston umeed karta hu ke apko meray batae gaye steps ko samaghne me koi pareshani nahi hui hogi aur aap sekh gaye hain ke Facebook profile ko lock and unlock kaise kartay hain.
0 Comments