Tamam pubg mobile ke un players ko welcome karta hu jo ke high ping se pareshan hain aur jinki hamesha high ping rehne ki waja se game pe pitai hoti hai.
To aaj iss article ko carefully read karne ke baad apki high ping wali problem 100% solve honay wali hai.
Because pehlay to me high ping ke reasons bataounga kyuke reasons ko janay bagair apki high ping problem ka solution kabhi nahi nikal sakta.
Aur uske baad phir high ping ko reduce karne ke tamam possible solutions bataounga jinko apply karne ke baad aap bhi meri tarha shock honay walay ho.
Believe me guys pehlay meri ping bohat ziada fluctuate karti thi kabhi stable hi nahi rehti thi aur me hamesha ping ki waja se hi game me haar jata tha.
Lekin bohat baar patai ke baad menay ping ko reduce karne ke baray me research start kardi, research se mujhe bohat kuch seekhne ko mila.
Bohat sari YouTube videos and articles parhne ke baad mujhe finally ping ko reduce karne ke lie tamam possible solutions milgaye jo me apko abhi bataounga.
How to get low and Stable ping in Pubg Mobile?
Step # 1 Get Maximum Speed From Wifi or Mobile Data
Mostly ping fluctuation ka issue mobile data use karne walon ko ata hai to pehlay wifi ka solution bataounga then mobile data walon ka.
For Wifi Users:
To agar aap wifi use karrahay hain aur apki ping fluctuate karrhi hai bohat ziada to sabse pehlay to aap apne Internet service provider ko complain karain.
Lekin agar apke wifi ki speed stable hai and still ping fluctuate karrhi hai to iska reason ye hosakta hai ke apke phone me wifi ke signals weak hain.
Agar signals bhi strong aarahay hain aur still ping high hai to phir iska main reason hai ke apke ghar me wifi users ziada hai aur apke ghar me jo wifi laga hua hai wo less Mb ka hai to better ping ke lie apko apne wifi ki speed increase karani paraygi.
Agar 2 mb hai to 4 mb karalain aur agar 4 mb hai to 8 mb karalin
For Mobile Data Users:
To doston agar apke mobile data pe ping bohat ziada fluctuate karti hai to iska sab se bara reason hai ye ke jis company ki sim aap use karte hain uss company ke signals apke area me properly nahi atay.
To agar Internet ko wifi pe shift karley hain to apka gaming experience bilkul hi change hojaega because wifi pe mostly ping stable rehti hai.
Lekin agar apke area me wifi nahi hai to aap wo company ki sim use karain jiske signals apne area me best atay hain warna agar signals hi weak hongay to apki ping kabhi bhi stable nahi ayegi.
Tip # 2 Turn of Background Internet Usage
Doston apke smart me bohat sari aisi applications hoti hain to background ms apka internet use karti hain like Facebook, Instagram, WhatsApp, Twitter and many more.
To agar ye applications background me apka internet use nahi karaingi to apki ping bhi stable rahay gi.
To apko karna ye hai ke apne apnay smart phone me jitni bhi applications install ki hui hain unki wifi or mobile data usage ko turn off kardena hai while playing game.
Itna karne se aap kamal ke results dekhaingay because jab sara internet apke game ko mil raha hoga to apki ping kabhi bhi fluctuate nahi karne wali.
To doston agar aap merag batae gaye steps ko follow kartay hain to believe apka gaming experience bilkul change honay wala hai aur aap aik pro player banne walay ho.
Because high per me to achi gaming karna impossible hai enemy apko maarke bhi chala jayega aur apko pata hi nhi chalayga.
0 Comments