How to Delete Instagram account on Android

What Is Instagram and Why It is Popular


Facebook ke sath Instagram bhi last kuch years me bohat popular social media app ban chuki hai. Instagram ke abhi more than 1 billion active users hain around the world.


Mostly instagram ko users apne pictures and videos share karne ke lie use kartay hain. Instagram pe users ko jiski videos and pictures achi lagti hain wo usko follow karletay hain.


Aisi hi instagram pe koi bhi apni interesting videos ko share karke popular hosakta hai


Lekin jab starting me hamay Instagram ka account banana nahi ata to bohat to ham galti se galat email ya kisi galat phone number per account bana detay hain aur jab hamay ye baat pata chalti hai to ham account delete karke new account banane ka sochte hain.


Instagram ka account banana to easy hai aur isko use karna videos and photos upload karna bhi bohat easy hai but intagram ke account ko delete karna thora difficult hai.


Because Instagram app me koi aisa direct option hai hi nahi jisse ham easily apna Instagram account permanently delete kar sakain.


Lekin aik method hai jiske baray me bohat hi kam log jaante hain aur iss article ko parhne ke baad aap bhi jaan jaogay.


So welcome guys, If you are also finding that how to delete an Instagram account permanently to yaha me apko guarantee ke sath kheh raha hu ke agar aap meray batae hue steps ko carefully follow karain gay to aap apna Instagram account easily delete kar paeingay.



How to Delete Instagram account on Android



  • Sabse pehlay apni Instagram app ko open karain.
  • Uske baad top right per apko 3 lines show ho rahi hongi. Uss per click karain.




  • 3 lines per click karte hi nechay se aik pop up open hojaega.



  • Pop up ke top per settings ka option hoga uss per click karain.
  • Settings per click karte hi apke saamne aik new page open hojaega waha per help ke option per click karain.


  • Uske baad apke saamne aik aur page open hoga waha help center ke option per click karain.



  • Help Center per click karte hi aapke saamne aik aur page open hoga waha per top right me apko 3 lines show hongi uss per click karain.




  • Uske baad aap aik aur new page per aajaeingay. Iss page per atay hi Manage Your Account per click karain.



  • Then apke saamne aik aur page open hoga waha apko delete your account ka option dikhai dega uss per click karain.



  • Uske baad apke saamne aik aur page open hoga waha apko aise hi 3 options milain gay jaise nechay image me hain. 
  • Yaha apko 2nd walay option per click karna hai.




  • Uske baad scroll down karain yaha apko delete your account ka option nazar ayega. Iss per click kardain.




  • Uske baad yaha se reason select karain ke aap apna account kyu delete karna chahtay hain.




  • Reason select karte hi apke saamne password ka option show hoga. 
  • To jo password apne account ka set kia tha wo yaha per put kardain.
  • Password daalne ke baad delete account per click kartay hi apka Instagram Account Permanently delete hojaega.



To dosto umeed karta hu ke apko meray bataye gaye steps se apna instagram account delete karte hue koi pareshani nahi hui hogi. Lekin kuch log hotay hain ke jinko video dekh kar ziada achay se samagh ata hai.

Post a Comment

0 Comments