Laptop Me Screenshot Lenay Ki Zarurat Kaha Hoti Hai
Doston aaj ke time per koi aisa ghar nahi hai jisme laptop ya pc use na hota hai. Har office, school aur ghar me koi na koi laptop use karta hi hai. Kyuke laptop apke kaam ko easy bana deta hai.
Like apko koi presentation banani ho apni university ke lie or apko apne office ka kaam karna ho to ye sab kaamon ke lie laptop aik best option hota hai jo apke work ko bohat hi fastly and easily complete kar deta hai.
Iske ilawa ab to schools me bhi bacho ko computer use karna allow hogaya hai. Aur mostly teachers home work bhi laptop per karne ka hi detay hain.
So in short everyone use laptop, lekin Laptop use kartay hue kabhi na kabhi apke saamne kisi YouTube video ke bech me aisi image aajati hogi jiska screenshot apko lena hota hai.
Ya kabhi Facebook use karte hue koi important post apke saamne aajati hai jiska screenshot aap capture karna chahte hain. But apko pata hi nahi hota ke laptop me screenshot lena kaise hai aur wo interesting pic miss hojati hai.
Doston iss article me mai apko laptop me screenshot lenay ka sab se easiest method batane jaaraha hu jisko sekhne ke baad aapke lie laptop me screenshot lena bohat easy hojaega.
To me apke lie aik aisi trick laya hu jo bohat hi simple hai aur jisko use karke menay Laptop me screenshot lekar iss article me upload kie hain apko guide karne ke lie ke How to take Screenshot In Laptop.
Iss trick me mai apko koi shortcut ya faaltu baat nahi bataounga balkay me aik genuine method bataounga jisko use karke aap unlimited screenshots le sakaingay apke laptop me.
How to Take a Screenshot On Windows PC and Laptop
Doston almost saray PC's and Laptops me snipping tool maujood hota hai.Snipping tool aik aisa software hai jisko use karke aap apne laptop me jitne chahain screenshots le saktay hain aur edit bhi kar sakte hain.
- To doston aap jis bhi image ka screenshot capture karna chahtay hain usko apne desktop ki screen per open karlain.Uske baad windows ke search bar ko open karain aur waha per snipping tool type karke enter press kardain.
- Enter press karne ke baad apke saamne sinpping tool software open hojaega. Jaise hi aap ke saamne snipping tool software open hoga to apko uska interface kuch aisa nazar ayega.
- Yaha top left me apko new ka option show horaha hoga bilkul aisi hi jaise nechay image me highlight kia hua ha. Screenshot capture karne ke lie new ke button per click kardain.
- New per click kartay hi apke saamne nechay Image area select karne ka option aajaye ga. Jitna image ka area apko select karna hai usko mouse ki madad se select karlain.
- Uske baad top left me hi save ka button hoga waha se aap apne screenshot ko save karlain. Save per click karne ke baad apke saamne screenshot ki destination select karne ka option ayega.
- Desktop ko select karke save per click kadain. Ye karte hi apka screenshot save hojaega aur jitna area apne select kia tha wohi apko image ki form me show hoga.
- Doston ye Laptop me screenshot lenay ka sab se simple method hai kyuke snipping tool software har PC/Laptop me maujood hota hai. To aap iss software ko use karke jitne chahain screenshots le sakte hain.
To in the end me ye batana chahta hu ke agar aap meray batae hue steps ko carefully follow karain gay to 2 se 3 baar screenshots lenay ke baad apke lie ye trick bohat hi simple hojaegi
So mujhe puri umeed hai ke apko ye article and YouTube video help lagay gi.
0 Comments